News Update :

Tere intazar ki rait par

Thursday, 18 August 2011

~Crescent~'s Avatar


tere intazar ki rait par

koi lafz main nay likha na tha

koi harf main nay kaha na tha

koi khab main nay chuna na tha

isi intazar ki rait par

meri arzu k gulab thay

teri justuju k saraab thay

sabhi chahatoo k jawab thay

sabhi hasratain wo kahan gai??

Teri chahatain wo kahan gai??

Meray hamnashee meray hamnawa

main palat k shayad na aa sakoo

isi intazar ki rait par

main bikhar gaya hoon hawaoon main

mujhay yaad rakhna duaoon main...
Share this Article on :

0 comments:

Post a Comment

 

© Copyright Pak Drama Korner 2010 -2011 | Design by Herdiansyah Hamzah | Published by Borneo Templates | Powered by Blogger.com.